Friday 17 June 2022

Keh lene do aaj!

Kuch rang birangi deewarein hain,

Jo hamesha bachaaya karti hain,

Ek barsaati hai saath,

Baarish mein baithke chai peete, 

ungliyon pe tapkati boondein dekhne ke liye,

Ek khidki se phool dikhte hain,

Dusri se titliyaan,

Darwaaze kee dehleez pe dhoop pighalti hai,

Aur chhat se khulaa aasmaan muskurata hai,

Taare aur chaand aaine mein jhalak dikhaa jaate hain,

Jahan pahuncke sukoon ka ehsaas hai,

Yahan ruk ke manzil ka khayaal hai,

Chamaktee hui raunakein hain,

Tyohaar ho jaise shayad koi,

Inn kuch deewaron, khidkiyon, taaron ke beech,

Woh aashiyana dikhta hai abhi mujhe,

Kya hai yeh sab, aur kaun ho tum?

Gunjaish thee shayad pehle, Ab yaakeen ho mera, 

Keh lene do aaj, Tum Ghar ho mera! 


- Hirinder 17june2022










No comments:

Post a Comment